Friday, March 22, 2013

Wo Ek Sham Thee : Azim Uddin

Wo sham ..thee!!!!!!!!!!!

Itney sunahrey roop mey jagmag chamkati wo sham thee

Aasha ki kirano mey chhalki khwahishon ka jaam thee

Kuchh pal intezar ka nagma, kuchh pal chahakati muskaan thee


Hasraton key lambey safar mey ye raah chali anjaan thee

Kuchh pal wo dard ka lamha, kuchh pal wo araam thee

Dundhey tujhsey milney ko hee humney ye veeraney thhey

Socha tum sang honi aaj sunhari yaad thee


Par tanhai ke aalam mey jaisey tarasta ek paigaam thee.

Kuchh wo bechainee ki sansey, kuchh pal dadkano ka saaz thee

Naa chaand ko humney poochha, naa sitaron ko nazar saugaat ki

Kuchh pal madhoshi ka aalam, kuchh pal pathraii ankhon ka naam thee


Tumsey milney ko hee humney mangey ye sannatey they

Chaha kuchh pal tum sang ek lambi mulakat thee

Azim Uddin SEO Services


Kuchh wo khamoshi ka lamha, kuchh pal gunjati teri yaad thee

Aanii ye ghadi janey kintney wadon key baad thee


Waqt kee dor mey liptee lau bhujti wo aam thee

Kuchh pal sabrr ka karishma, kuchh pal nam ankhey anjaam thee

Ek mehkatey pal mey honi jo khushbuu ka naam thee

Kuchh pal ummeed ki lehrey, kuchh pal aati aahat benaam thee.


Nazaron ney bhi naa dekhi aisi ankahi pehchaan thee

Tanhai, khamoshi mey bhi har pal teri gujarish kaa naam thee

Aasha ki kirano mey chhalki khwahishon ka jaam thee

Likhey huye dil ke nagmon mey guzarti wo ek sham thee

Collection By Azim Uddin 

Source:- http://blogs.rediff.com/blogsbytripti/2009/05/19/wo-shaam-thee/

Visitor With Flag

Azim Uddin - SEO Services